Mujhe hua kya, me kese khu
Me barbaad hu, par aabad hu
Me hara hu, par kisi ka shara hu
Me adhura sa , par wo shaksh mujme pura he
Me dhalti sham sa
Vo ugta svera he
Me bhatakta musafir, vo raahtein manjil
Me hu agar dard to, vo meri dva he
Me hu agar ibadat, to vo mera khuda he
Par mere dard ki koi vajh nhi
Me khud se thoda khfa hu
Har chij ki suruaat ki , par use kbhi khatm nhi
Me hara hu, use kese khu
Uske bina adhura hu, ye unhe kese samjau
Zindgi ek adhury kitab si he,
Mere sabdo me chupi raag si he unki har ada ,
Me jise chaha kar bhi bya na kar pau us alfaj se he vo,
Jiske na hone se sab viran or un ke hone ka ehsaas hi ek sukun de jaye,
Vo khubsurat ehsas he wo
Refrigeration Mechanic & Electronics (रेफ्रिजरेशन मैकेनिक और इलेक्ट्रानिक्स )